View Single Post
  #2  
Old Tuesday, May 31, 2011
noOne's Avatar
noOne noOne is offline
Member
 
Join Date: Jun 2010
Location: lahore, peshawar, Parachinar, Islamabad
Posts: 40
Thanks: 14
Thanked 30 Times in 16 Posts
noOne is on a distinguished road
Default

vasl ki yeadein



Mai nay soacha tha kabhi yeh vasl ki yeadein

Tehrir ban kar meray fun ki karin gi tash'hir

Mai nay samjha tha kabhi yeh vasl ki yeadein

Meri nazar mai karin gi gham-e-hayat ko haqir

Mai ne chaha tha kabhi yeh vasl ki yeadein

Badal daley meri mayus nigahun ki taqdir

Ab barson baad magar yeh raaz khula hai mujh par

Aziyatein hain faqat yeh vasl ki yeadein

Khud say, haqiqaton say aur apney pyaron say

Baghawatein hain faqat yeh vasl ki yeadein

Ab barson baad yehi ehsas hua hai mujh ko

Qayamatein hain faqat yeh vasl ki yeadein

Vasl ki yeadein yehan ka rukh na kar sakein gi kabhi

Faslon ki fasilein agar gira do tum

Agr mumkin ye nahi hai to phr ae jan-e-jahan

Mera maazi, mera shabab mujhey loata do tum

Imkan is ka bhi nahi hai tou yeh ehsan hoga

Warq-e-hasti se agr ab mujhe mitta do tum

Kay aziyatein hain faqat yeh vasl ki yeadein

Kay qayamatein hain faqat yeh vasl ki yeadein
__________________
I lived only once in my life and i longed only for two hours. after that numbness and melancholy embraced my entity
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to noOne For This Useful Post:
multithinker (Wednesday, January 16, 2013), Shafique Malik (Tuesday, May 31, 2011), uzmauzi (Monday, January 28, 2013)