Hazaron khuwahishon ka silsila hoon
tumhari zaat tak phela hua hoon...
hujoom e shehr me tum say bichar ker
me apney aap say bhi kab mla hoon...
tumhari justujo hai ek musafir
me lamakan tak ka rasta hoon..
hazaroon raaz poshida hain mujh mey
tan tanha bhi me ek qafila hoon...
tumhari bandagi janey kahan hai
me apni bandagi ki inteha hoon..
mujhey kab ka chaley jana tha lakin
kisi k wastey tehra hua hoon...
__________________
~It is possible to fail in many ways...while to succeed is possible only in one way.~
|