Nahi nigah main manzill to justajo hi sahi
Nhi visal muyassar to aarzoo hi sahi
Na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein
Namaz-e-shauq to wajib hai, bey wazoo hi sahi
kisi tarah to jam-e mehfil-e-bazm yaaro
nahi jo badaa-o-sagar, to haa-o-huu hi sahi
gar intezar kathin hai to jab talak ay dil
kisi k vaada-e-fardaa ki guftagoo hi sahi
dayaar-e-ghair mein mehram gar nahi koi
To "Faiz" zikr-e-watan apnay ru-ba-ru hi sahi
__________________
Freedom Ltd.
|