View Single Post
  #154  
Old Sunday, September 18, 2011
chfarooq's Avatar
chfarooq chfarooq is offline
Member
 
Join Date: Nov 2009
Posts: 76
Thanks: 119
Thanked 82 Times in 47 Posts
chfarooq will become famous soon enough
Default

purepk bhai jahan tk jazib ki baat main samjha hn wo islam k against nahi ha
lkin wo yeh samajhta ha k aam insan islam ko as it is implement kr he nhi sakta
aap bayshak tareekh utha k daikh lo sahaba RA ka hakoomat k maamlay pr governery k maamlay pr kitna shadeed ihtlaf raha phir Hazrat Usman RA jesay jaleelul qadar sahabi b hukmaran k tor pr kamyab sabit na ho sakay

jo cheez khilafat ko itna romanwi tasawar bna deti ha wo ha pehlay do khulafa k zamanay ki fatoohat hain

in fatoohat ka daromadar khilafat kilawa doosray kharji haalat pr zyada tha


dusri bat yeh k state k secular honay ki zaroorat kyun mehsoos hui

aik saada misal lain

teen bhai hain a, b, c
a aur b to mutaqi parhezgar aur shariat k paband hain lkin c ko thora peenay pilan ka chaska lga hua ha, thora buhut tash pay b haath seedha kia hua ha to jua b lgata rehta ha. garaz yeh k tmaam aib us main mojood hain
aab aap teenon bhaion ki sanjhi property kia a,b, tmam property k faislay hud lay sktay c ko nazar andaz kr k . nahi na. ps isi tarah aik ghair muslim jo is sarzameen pr paida hua ha wo bhi isi mitti ka beta ha aur usay wohi tmam haqooq honay chahiyen jo mujhay aap ko ya kisi teesray shaks ko hn.......ps yeh usi surat mumkin ha jb k ryasat kisi aik mazhab ki tarafdar nhi ho g

secular ka matlab mazhab bezar ryasat nhi ha blkay aik aisi ryasat jahan sb ko brabar mazhabi azadi ho

umeed ha yeh saada misal kafi ho g aik dusra moqaf samjhnay k liye. kaash yeh masla b itna he sada hota....

Quote:
Originally Posted by JazibRoomi View Post
You believe in election system (I hope by that you mean adult franchise or Balig Rai Dahi) but I bet you that these theodamocrates or (if you allow me to coin a new term) Caliphists will never favor elections. Why? Because they knew they cannot get votes. We Pakistani give them respect, and roti and chanda and qurbani ki khaal, but we don’t give them vote.
sir theodemocrates to hamain vote dena ka ahal he nahi samjhtay. un ka electoral college sirf ba shara logon pr mushtamil ha.
aap yeh rule Molana Modudi aur Dr. Israr sahib k tahreron main dekh sktay hain

Last edited by Hamza Salick; Sunday, September 18, 2011 at 04:13 PM.
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to chfarooq For This Useful Post:
aariz (Sunday, September 18, 2011), Fatima47 (Sunday, September 18, 2011), JazibRoomi (Sunday, September 18, 2011)