View Single Post
  #155  
Old Tuesday, December 26, 2006
KhayaL's Avatar
KhayaL KhayaL is offline
Senior Member
 
Join Date: Oct 2006
Location: Earth
Posts: 182
Thanks: 2
Thanked 17 Times in 14 Posts
KhayaL is on a distinguished road
Default

wo subah kabhii to aaye gii


en kaalii sadiyon key sar sey jab raat kaa aanchal dhalakey gaa
jab dukh key baadal pighaley gey jab sukh kaa saagar jhalakey gaa
jab ambar jhoom key naachey gaa jab dharatii naGmey gaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


jis subah kii Khaatir jug jug sey ham sab mar mar ke jeetey hain
jis subah key amraat kii dhun main ham zahar key pyaaley peetey hain
en bhookii pyaasii roohon par ik din to karam faramaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


maanaa key abhii terey merey aramaanoon kii qeemat kuchh bhii nahin
miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaanoon kii qeemat kuchh bhii nahin
insaanoon kii izzat jab jhooThey sikkoon main na tolii jaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


daulat key liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaayegaa
chaahat ko naa kuchalaa jaayegaa, izzat ko naa bechaa jaayegaa
apanii kaaley karatuutoon par jab yea duniyaa sharmaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


beetain gey kabhii to din aaKhir yea bhook key aur bekaarii key
TooTain gey kabhii to but aaKhir daulat kii ajaaraadaarii key
jab ek anokhii duniyaa kii buneyad uThaaii jaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


majaboor burhaapaa jab soonii raahoon kii dhool na phankey gaa
maasoom larakpan jab gandii galiyoon main bhiik na maangey gaa
haq maanganey waaloon ko jis din sulii na dikhaaii jaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


faaqoon kii chitaaoon par jis din insaan na jalaaye jaaye gey
siiney key dahakatey dozakh main aramaan na jalaaye jaaye gey
yea narak sey bhii gandii duniyaa, jab swarg banaaii jaaye gii


wo subah kabhii to aaye gii


jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar key jeetey hain
jis subah key amraat kii dhun main ham zahar key pyaaley peetey hain
wo subah na aaye aaj magar, wo subah kabhii to aayegii


wo subah kabhii to aayegii
__________________
Do Not Hunt,If You Can`t Kill..
Reply With Quote