View Single Post
  #1  
Old Thursday, October 27, 2011
brillientminds brillientminds is offline
Member
 
Join Date: Apr 2010
Location: lahore
Posts: 69
Thanks: 81
Thanked 90 Times in 52 Posts
brillientminds is on a distinguished road
Default kiss kadar anokha hai raabta mohabbat ka

kiss kadar anokha hai raabta mohabbat ka
kab na janay ho jaye mojza mohabbat ka

apni zaat sy bhi woh ajnabi sa lagta hai
jiss kay saath ho jaye haadsa mohabbat ka

woh chala hi jata hai jis nay jana hota hai
lakh do chahay usko waasta mohabbat ka

zindagi mein jeenay ka aasra nahin rehta
jab kisi sy cheen jaye hosla mohabbat ka

doston sy wasi agar tumhein mohabbat hai
doston ko mat dena mashwara mohabbat ka.
__________________
Hai kahaaN tamanna ka doosra qadam ya rab
hum ne dasht-e-imkaaN KO ek naqsh-e-paa paaya
Reply With Quote