Thread: Iltemaas
View Single Post
  #1  
Old Friday, November 25, 2011
Last Island's Avatar
Last Island Last Island is offline
Royal Queen of Literature
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: AppreciationModerator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Best ModMember of the Year: Awarded to those community members who have made invaluable contributions to the Community in the particular year - Issue reason: 2008Gold Medal: Awarded to those members with  maximum number of  reputation points. - Issue reason: For the year 2007, 2008, 2009, 2010, 2011Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason: More than 5 years of dedicated services
 
Join Date: May 2005
Location: Forest of Fallen Stars
Posts: 7,585
Thanks: 2,427
Thanked 15,848 Times in 5,006 Posts
Last Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardom
Default Iltemaas

Yehi gar zid tumhaari hey
Chalo hum bhool jaatey hain!
Sabhi waadey, sabhi qasmain
Mohabbat ki sabhi rasmain
Nahi, manzoor jo tum ko
Karain ranjoor jo tum ko
Tumhaari shaad-maani hi, azeez-az-jaan hey jab to
Tumhain phir tokna kesa?
Zyaan, sood ki baabat, bhala phir sochna kaesa
Chalo hum bhool jaatey hain..!
Mohabbat ki riyazat main
Wafaaon ki musaafat main
Qadam kis ke kahaan behkey, hui kis sey kahaan larzish
Basaa di jis ney ik pal main, humaari aankhon main baarish
Ke jis ki tez boondon ney
Kisi tezaab ki soorat
Nishaan-e-manzil-e-dil hi, jala dala mita dala
Magar jaanan
Kahaan aasan hota hey?
Jigar ka khoon ashkon mein, badalna aur bahaa dena
Khas-o-khashaak chun chun kar
Gharonda ik banana aur…ussi ko phir jala dena
Jawaan sapnon ki laashon ko
Daroon-e-jaan chuhpaa kar…muskura dena
Khizaa'ein paalna khud mein, bahaar'ein baant'tey phirna
Kahaan aasaan hota hey..?
Buhat mumkin hey hum bhi haar hi jaaein
Jawaan hey zabt jo ab tak
Muqaabil ghum ke aaey..aur Dhaey jaaey
Aur iss mein bhii taa’ajub kiyaa?
Tumhaarey lout aaney ki..bachi ho aas jo koi
Nawaaey be-zubaat ban kar
Sisak kar phir sey utthey aur..tum tak bhi puhanch jaaey
So tum sey ye guzaarish hey
Tab ik ehsaan tum karna
Palat kar dekhna yuun sard nazron sey
Ke jo bhii aas zinda ho..
Ussey yak-sar mita dena
Humein pathar bana dena
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
Reply With Quote
The Following 9 Users Say Thank You to Last Island For This Useful Post:
Ali Ahmad Syed (Friday, November 25, 2011), Arain007 (Saturday, November 26, 2011), Faisal86 (Saturday, November 26, 2011), Farrah Zafar (Friday, November 25, 2011), Muhammad T S Awan (Saturday, November 26, 2011), prestigious (Saturday, November 26, 2011), Taimoor Gondal (Saturday, November 26, 2011), unsolved_Mystery (Saturday, November 26, 2011), Xeric (Saturday, November 26, 2011)