Sun meray Hamnashen
raat ka ghaliban ,aakhiri pehar tha ...
mujh say tanha sitara yoon gooya hoa
Hamnasheen ... Alwida !!
aey meray hamnasheen . .mujh ko nend aa gai
tum bhi so jaao ja ker kahen
kal milen gay yahen..!!
ye sun kar main halka sa muska dia
us ko batla dia
janay walay yahan lout'tay he nahi
tum na ao gay kal
mujh ko hay ye yaqeen
baat sun kar meri
wo ruk sa gia ...
or kehnay laga ..
*Tum Say Wadah Karon ,
Phir Na Pora Karon ?
Aisa Mumkin Nahi ...
Sun meray Hamnashen ...main to insaa'n nahi *.
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
|