View Single Post
  #11  
Old Saturday, December 24, 2011
Faisal86's Avatar
Faisal86 Faisal86 is offline
Senior Member
 
Join Date: Mar 2011
Location: Lahore
Posts: 185
Thanks: 1,010
Thanked 194 Times in 114 Posts
Faisal86 will become famous soon enough
Default

Quote:
Originally Posted by Princess Royal View Post
@ PRESTIGIOUS

Pichli baar yaad he nahi raha kehna. Khair, koi khaas background nahi hai. Meray demaagh mein kuch na kuch chalta rehta hai aur jab kuch buhat intense ho jaye tou mein kahin na kahin keh dayti hoon. Es baar forum per keh diya.

@ ALI

Jo aap ne kahan bilqul daroost kaha. Allah pe bharosay say kuch yaad aya: kisi say ek mertaba suna tha kay jab musibat kay waqt Allah per itna bharosa kerlo kay yakeen ho saab theek he ho ga tou Khuda us banday ko kabhi mayoos nahi kerta aur woh es liye kyun ke jab Woh yeh dekhta hai kay uska banda us per kitna bharosa kerta hai tou Woh usko kabhi mayoos ker he nahi sakhta kyun ke woh uska Rab hai. Allah ki rah per hum ek qadam lein gay tou woh sou darwaazay khol day ga. En batoon per yaqeen hona chahiye aur enko hamein apnay andar itnay door tak rekhna chahiye kay aur kisi cheez ki jagha he na rahay . Abhi kuch haftay pehlay mein ne ek 17-18 salaan ladkay ki death ka sunna. Yeh woh umr hai kay jis ko kaha jata hai "abhi umr he kiya hai". Infact, ab tou usually jawaan logoon ki death ka he sunnay mein ata hai. Tou jab "umr nahi" waloon ki umr ka koi bharosa nahi tou baakiyon ki kiya guarantee hai? Kiya milay ga duniya ki fiqar kernay say? Agar abhi bethay bethay mein upar pohanch jaon tou meray jawaab kon day ga? Loog tou nahi ayein gay meray liye asaani paida kerne. Maana kay yeh saab asaan nahi, khud ko bhi badalna asaan nahi, per "nai" ko "haan" kehnay ki zaroorat hai sirf. Aur phir jis ka saath Allah dey dey, loog aur duniya kiya kerlay gay uska . Bus thoray say positive nazariye ki zaroorat hai aur mazboot imaan ki.

Jaisa kay angraiz bhi kehtay hain kay jo universe mein send karon gay wohi wapis aye ga, aur jis cheez ko apnay andar buhat basa lo ek yaqeen kay saath phir woh haqeeqat bun he jaati hai.
Main Aap sub logon' ki Baaton' se sehmit hun'. Lekin ek shair yad aa rha hai isy hawalay se, socha share kr dun'.

Butt bhi rakhay hain Namazain bhi ada hoti hain
Dil mera dil nhi Allah ka ghar lgta h
Ashk seenay main uttar ayain koi khauf nhi
Dil jab aankhon' main dharakta hai, Darr lgta hai
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to Faisal86 For This Useful Post:
mjkhan (Tuesday, December 27, 2011), Princess Royal (Monday, December 26, 2011), ravaila (Sunday, December 25, 2011)