View Single Post
  #12  
Old Monday, December 26, 2011
Princess Royal's Avatar
Princess Royal Princess Royal is offline
Super Moderator
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Best Mod 2008
 
Join Date: Sep 2007
Location: K.S.A.
Posts: 2,115
Thanks: 869
Thanked 1,764 Times in 818 Posts
Princess Royal is a splendid one to beholdPrincess Royal is a splendid one to beholdPrincess Royal is a splendid one to beholdPrincess Royal is a splendid one to beholdPrincess Royal is a splendid one to beholdPrincess Royal is a splendid one to beholdPrincess Royal is a splendid one to behold
Default

@ARAIN

Quote:
Jb bnday ka emaan mazboot ho ga tu phir wo dunya ki fikar sy azaad ho kr Akhrat ko sanwarnay ka sochay ga. Aur phir wo shakhs Akhrat k faiday k liay aur ziada koshish kry ga.
Aap ki es baat say mujhey kuch yaad aya. Ek recent soch hai jo mein share kerne ja rahi hoon aur aap saab kay comments chahti hoon us per.

Hum sirf "janat" aur "dozaq" ki hadh tak he kyun sochtay hain? Kyun har cheez hum dozaq say bachnay aur janat ko hasil kerne kay liye kertay hain? Kyun hum apne aur dosaroon kay dil mein Allah ka DAR paida ker daytay hain. Dar zaroori hai per i believe sirf us hadh tak kay Woh jo chahay aur jab chahay ker sakhta hai, uski zaat say barha koi nahi, insaan ko kabhi baray bool nahi bolnay chahiein aur Khuda ka "dar" rehna chahiye. Aur us hadh tak bhi kay jahan insaan ko frequently HAQEEQAT yaad dilai jaye. But har waqt ka dar nahi, aisa "dar" nahi kay "haye mein ne itna bura kaam ker diya ab pata nahi Woh mujhey maaf bhi karay ga yaan nahi". Es dar kay bajaye us per bharosa kyun nahi ke woh maaf kerna waala hai? Bus har waqt ek "dar" laga rehta hai kay mujhey aglay jahan azaab jhailna na par jaye. Yeh tou aisay lagta hai kay jaisay "conditionally" saab kiya ja raha hai, like namazein perni hain cuz uski maafi nahi, rozay rekhnay hain cuz unki bhi maafi nahi, and the likes. Shayad yeh "dar" ek terhan say theek bhi ho kay atleast loog buray kamoon say tou bachay rehtay hain. Per shayad yeh insaan ko "DIVINE" level tak nahi pohanchnay dayta. Wohi namaz ki eg doun gi, KYUN KE (condition) namaz ki maafi nahi tou perhni hai....woh alag baat hai kay kaisay perhi ja rahi hai like taizi, fata fat sajday maaray aur namaz hogai. Per agar hum yehi namaz, chahay 1-2 he, KHUDA ko panay kay liye perhain, araam say aur sakoon say aur apni tawaja namaz mein he rekhnay ki koshish karain, like duniya ki fiqaroon say dour, spirituality hasil kerne kay liye tou yeh Khuda kay ziyada qareeb nahi laye ga? Basically, yeh saab cheezein es soch kay saath kyun nahi ki jaatein kay "Yeh Meray Khuda Ka Hukm Hai, Aur Mujhey Yeh Kerna He Hai". I mean sirf janat aur dozaq he kyun, Khuda ko pana kyun nahi? Aisa kyun hum khudko aur dosaroon ko nahi kehtay kay ye saab Uska hukum hai, yeh saab zariye hain Usko panay kay, Usko raazi rekhnay kay. Aur phir jab Woh raazi rahay ga tou janat tou automatically ahi jaye gi na. Haina? Jaisay aksar loog tanhai mein Khuda say baatein kertay hain, unko yakeen hota hai kay Woh unhein sun raha hai. And I believe yehi YAKEEN unka dil halka ker dayta hai. Tou khuda per aisa yakeen hona chahiye, Ushi nay tou hamein banaya hai aur Jitni mohabbat woh humse kerta hai koi bhi nahi kerta tou phir bharosa bhi hona chahiye na kay woh maaf bhi karay ga aur hamein seedha bhi karay ga. I hope mein ne sahi say apni soch paish ker di hai. Aisay topics per zara bolnay ki adaat hai, tou ek thought paish kertay waqt lamba lamba bool jaati hoon, so please bear.

Criticism is welcomed.
__________________
Regards,
P.R.
Reply With Quote
The Following 7 Users Say Thank You to Princess Royal For This Useful Post:
Ali Ahmad Syed (Monday, December 26, 2011), Arain007 (Monday, December 26, 2011), Ghulam Muhammad (Monday, December 26, 2011), Invincible (Monday, December 26, 2011), mjkhan (Monday, December 26, 2011), Naqash Fatima (Friday, January 13, 2012), prestigious (Monday, December 26, 2011)