View Single Post
  #14  
Old Monday, December 26, 2011
mjkhan mjkhan is offline
Senior Member
 
Join Date: Jul 2010
Location: New York,Lahore
Posts: 679
Thanks: 988
Thanked 522 Times in 325 Posts
mjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to all
Default

Quote:
Originally Posted by Princess Royal View Post
@ARAIN



Aap ki es baat say mujhey kuch yaad aya. Ek recent soch hai jo mein share kerne ja rahi hoon aur aap saab kay comments chahti hoon us per.

Hum sirf "janat" aur "dozaq" ki hadh tak he kyun sochtay hain? Kyun har cheez hum dozaq say bachnay aur janat ko hasil kerne kay liye kertay hain? Kyun hum apne aur dosaroon kay dil mein Allah ka DAR paida ker daytay hain. Dar zaroori hai per i believe sirf us hadh tak kay Woh jo chahay aur jab chahay ker sakhta hai, uski zaat say barha koi nahi, insaan ko kabhi baray bool nahi bolnay chahiein aur Khuda ka "dar" rehna chahiye. Aur us hadh tak bhi kay jahan insaan ko frequently HAQEEQAT yaad dilai jaye. But har waqt ka dar nahi, aisa "dar" nahi kay "haye mein ne itna bura kaam ker diya ab pata nahi Woh mujhey maaf bhi karay ga yaan nahi". Es dar kay bajaye us per bharosa kyun nahi ke woh maaf kerna waala hai? Bus har waqt ek "dar" laga rehta hai kay mujhey aglay jahan azaab jhailna na par jaye. Yeh tou aisay lagta hai kay jaisay "conditionally" saab kiya ja raha hai, like namazein perni hain cuz uski maafi nahi, rozay rekhnay hain cuz unki bhi maafi nahi, and the likes. Shayad yeh "dar" ek terhan say theek bhi ho kay atleast loog buray kamoon say tou bachay rehtay hain. Per shayad yeh insaan ko "DIVINE" level tak nahi pohanchnay dayta. Wohi namaz ki eg doun gi, KYUN KE (condition) namaz ki maafi nahi tou perhni hai....woh alag baat hai kay kaisay perhi ja rahi hai like taizi, fata fat sajday maaray aur namaz hogai. Per agar hum yehi namaz, chahay 1-2 he, KHUDA ko panay kay liye perhain, araam say aur sakoon say aur apni tawaja namaz mein he rekhnay ki koshish karain, like duniya ki fiqaroon say dour, spirituality hasil kerne kay liye tou yeh Khuda kay ziyada qareeb nahi laye ga? Basically, yeh saab cheezein es soch kay saath kyun nahi ki jaatein kay "Yeh Meray Khuda Ka Hukm Hai, Aur Mujhey Yeh Kerna He Hai". I mean sirf janat aur dozaq he kyun, Khuda ko pana kyun nahi? Aisa kyun hum khudko aur dosaroon ko nahi kehtay kay ye saab Uska hukum hai, yeh saab zariye hain Usko panay kay, Usko raazi rekhnay kay. Aur phir jab Woh raazi rahay ga tou janat tou automatically ahi jaye gi na. Haina? Jaisay aksar loog tanhai mein Khuda say baatein kertay hain, unko yakeen hota hai kay Woh unhein sun raha hai. And I believe yehi YAKEEN unka dil halka ker dayta hai. Tou khuda per aisa yakeen hona chahiye, Ushi nay tou hamein banaya hai aur Jitni mohabbat woh humse kerta hai koi bhi nahi kerta tou phir bharosa bhi hona chahiye na kay woh maaf bhi karay ga aur hamein seedha bhi karay ga. I hope mein ne sahi say apni soch paish ker di hai. Aisay topics per zara bolnay ki adaat hai, tou ek thought paish kertay waqt lamba lamba bool jaati hoon, so please bear.

Criticism is welcomed.
RUB ko RUB mananey ka taqaza hai k us sa dara jaey aur dar kar us k hukm ki baja awari ki jaey..ye beshak aik nihayat hee umda amal hai

lakin is ma bhi koi shak nahee k us ki muhabat ma kee janey wali ibadat us k dar ma kee janey wali ibadat sa afzal hai..(asli haqeeqat ka ilm ALLAH PAK ki zaat ko hee hai)


Insaan ko apney gunnah par sharminda zaroor hona chahiye lakin agar apney gunnahon ko zaroorat sa ziada apney sir par sawar kar liya jaey to ye in itself ALLAH par kamzoor imaan ki nishani hai kiu aik mazboot imaan wala shakhs apney RUB ki rehmat sa kabhi naumeed nahee hota kiu k wo janta hai k agar ALLAH QAHAR hai to wo RAHAMAN O RAHEEEM bhi hai.

infact meray mutabiq wo 2 bunyadi cheezain jis ki waja sa insaan ashraful makhlooqat bana aur farishton par bhi foqiat la geya un ma aik to ilm hai(jesa k hum sab jantay hain) aur dosri cheez wo burai ka maada hai jo k farishton ma nahee paya jat balkay farishton ma sirf khair ka ansar rakha geya hai.ab sawal ye paida hota hai k burai ka mada kis tarah aik insaan ki fazeelat ka sabab ban sakta hai to is ka jawab ye hai k ye burai ka maada nahee balkey is burai k maada ki waja sa kiye janey wala gunnah aur phir us gunnah par kiye jani wali tobah aur bahaey janey waley ansoo is qadar muqadam hotey hain k wo kai naikion sa bhi ziada afzal hotey hain.aur insaan ko apni miraj bhi inhee ansoon ko baha kar hasil karta hai kiu k tab wo apney andar paey janey waley burai k ansar ko fatah kar leta hai aur khair ko shir par fatah hasil hoti hai.(insaan k bas ma kuch nahee aur hum apney har amal k liye ALLAH PAK k mohtaj hain)

"AUR" ki hawas hamarey andar chand bunyadi anasir ki ziadati ki waja sa paida hota hain jin ma bughz,jalan,hasad,keena parwari,chugli,jhoot,bohtan,mufad parasti,gharoor,duniya parasti,na-insaafi,darinda sifti aur sab sa barh kar kamzoor imaan waghera waghera shamil hain agar insaan in haslatoon sa nijaat hasil kar la to AUR ki hawas par qaboo paya ja sakta hai kiu k ye sab haslatain nafs par hawi ho jatin hain aur isay behkati hain.

in haslatoon sa bachnay ka bohat sa treeqay ho saktay hain par jo way ma na apney liye ikhtiyar kiya hai wo ye hai k duniya k har mamlay sa nabard azma hotey waqt apney qabar ko apni nigahon k samney rakha jaey aur phir kisi bhi amar k mutaliq faisla kiya jaey.

ALLAH sa muhabat karney ki bajaey US ki muhabat ka haq ada karna chahiye.ye mera andaaz hai aur meray pas esa karney ki waja hai.lakin insaan ALLAH sa muhabat kiye bina reh bhi nahee sakta.

Ap na aik jaga kaha k ye sab tareeqay hain ALLAH ko paney k.ma to kehta hon k ALLAH to ap k intizar ma rehta hai par ma aur ap US ki hamain paney ki khuwahish ka ehtaram hee nahee kartey.baghi aur sar kash aur maghroor hain.

jab namaz ma sakoon hasil hoo to namaz AALAH k liye nahee to janaat aur dozakh k liye.in fact aj kal to namaz sirf kisi pareshani ko door karney k liye ya phir hajat rawai k liye parhi jati hai.ab to jannat aur dozakh ki parwah nahee hai hamain.
__________________
Puppet,Slave,Lover
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to mjkhan For This Useful Post:
Ali Ahmad Syed (Monday, December 26, 2011), Arain007 (Monday, December 26, 2011), Naqash Fatima (Friday, January 13, 2012), Princess Royal (Tuesday, December 27, 2011)