View Single Post
  #15  
Old Monday, December 26, 2011
Arain007's Avatar
Arain007 Arain007 is offline
Czar
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2010
Location: Venus
Posts: 4,106
Thanks: 2,700
Thanked 4,064 Times in 1,854 Posts
Arain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant future
Default

Quote:
Originally Posted by Princess Royal View Post
@ARAIN
yeh saab cheezein es soch kay saath kyun nahi ki jaatein kay "Yeh Meray Khuda Ka Hukm Hai, Aur Mujhey Yeh Kerna He Hai". I mean sirf janat aur dozaq he kyun, Khuda ko pana kyun nahi?
You are right k hmain Jannat aur Dozakh ki khawahish sy ziada Allah ki Raza aur us k Qurb ki Umeed rakhni chahiay hy.

Lekin meray khayal main hmain Namaz is liay nhi parhni chahiay k Allah ny hukam dya hy. Agr hm Namaz is liay parhain gy k Allah ka hukam hy, tu phir hmaray dil main ye baat b ay gi k hm ny apnay Maalik ka hukam mana hy ab Wo hmain is ka silla b dy. Blkay is liay k Allah hy hi itni buland azmat-o-shaan wala k us ki ibadat ki jaey. Allah is puri Kainaat ka Maalik hy. Hm us ki ibadat kr k hi bndagi ka kuch haq adda kr sktay hein. Is trah hm apnay Allah ko razi krnay ki kosish bhi kr skaty hein. Bndagi tu yehi hy k hm Allah sy apni Ibadat k sillay main kisi Inaam ki Tamanna na krain. Wo hmara Maalik hy wo chahay hmain Dozakh main bhejay ya phir Jannat main janay ki ijazat dy.

Hazart Rabia Basri (R.A.) ka waqia tu sb ko pata ho ga k ap aik dafa aik hath main pani aur dosray hath main aag ly kr ja rhi theen. kisi ny waja pochi tu ap ny farmaya k main is pani sy dozakh ki aag bojhanay ja rhi hn, ta-k log us k khoof sy Allah ki ibadat na krain. Aur is Aag sy main jannat ko jalla daloon gi, ta-k log Jannat ki umeed main Allah ki bndagi na kya krain.

Kehnay ka matlab ye hy k jb hm Allah ki ibadat is liay krain gy k wo hy hi Ibadat k laiq, aur hm Allah ki raza pr razi rehna seekh lein gy, tu phir is trah Hmain Allah ka qurb atta ho ga.

Jahan tk baat Allah ki raza pr razi rehnay ki hy, k museebat pr sabar aur Khushi pr Allah ka shukar adda kya jaey, phir tu insaan wallayat k rutbay pr faaiz ho jata hy. Ye kaam itna mushkil bhi nhi hy. Bs thori si mehnat sy apnay Nafs ko apnay qabo mein krna ho ga. Phir Insaan bs Allah k qurab ki hi khawahish kry ga. Aur jis shakhs ko Allah ka qurb naseeb ho jaey tu phir us ki Dunya aur Aakhrat dono sanwar jaen gi.
__________________
Kon Kehta hy k Main Gum-naam ho jaon ga
Main tu aik Baab hn Tareekh mein Likha jaon ga
Reply With Quote
The Following 5 Users Say Thank You to Arain007 For This Useful Post:
mjkhan (Monday, December 26, 2011), moose (Monday, January 23, 2012), Naqash Fatima (Friday, January 13, 2012), Princess Royal (Tuesday, December 27, 2011), SYEDA SABAHAT (Monday, December 26, 2011)