Thread: Faiz Ahmed Faiz
View Single Post
  #11  
Old Wednesday, January 17, 2007
Last Island's Avatar
Last Island Last Island is offline
Royal Queen of Literature
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: AppreciationModerator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Best ModMember of the Year: Awarded to those community members who have made invaluable contributions to the Community in the particular year - Issue reason: 2008Gold Medal: Awarded to those members with  maximum number of  reputation points. - Issue reason: For the year 2007, 2008, 2009, 2010, 2011Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason: More than 5 years of dedicated services
 
Join Date: May 2005
Location: Forest of Fallen Stars
Posts: 7,585
Thanks: 2,427
Thanked 15,848 Times in 5,006 Posts
Last Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardom
Default Ham jo taareek raahon mein maarey gaye

Tere honton ke phoolon ki chaahat mein ham
Daar ki Khushk tehni pe vaaray gaye
Tere haathon ki shamm’on ki hasrat mein ham
Neem taareek raahon mein maaray gaye


Sulion par hamaarey labon se pare
Tere honton ki laali lapakti rahi
Teri zulfon ki masti barasti rahi
Tere haathon ki chaandni damakti rahi


Jab khuli teri raahon mein shaam-e-sitam
Ham chaley aaye, laaye jahaaN tak qadam
Lab pe harf-e-Ghazal, dil meN qandeel-e-Gham
Apnaa Gham thaa gavaahi tere husn ki
Dekh qaaim rahe us gavaahi per ham
Ham jo taareek raahon mein maarey gaye


Na rasaa’ii agar apni taqdeer thi
Teri ulfat to apni hii tadbeer thi
Kis ko shikvaa hai gar shauq ke silsile
Hijr ki qatl-gaahon se sab jaa mile


Qatl-gaahoN se chun kar hamaare alam (flags)
Aur nikleNge ushshaaq ke qaafile


Jin ki raah-e-talab se hamaare qadam
MuKhtasar kar chale dard ke faasile
Kar chale jin ki Khaatir jahaaNgeer ham
Jaan ganvaa kar teri dilbarii ka bharam
Ham jo taareek raahon mein maarey gaye
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
Reply With Quote