View Single Post
  #1  
Old Saturday, January 21, 2012
Cute Badshah's Avatar
Cute Badshah Cute Badshah is offline
Senior Member
 
Join Date: Jul 2010
Posts: 571
Thanks: 105
Thanked 387 Times in 249 Posts
Cute Badshah has a spectacular aura aboutCute Badshah has a spectacular aura about
Default Authenticity required

Hazrat Abu Hanifa dars o tadrees mein masroof thay k Aashiq-e-Ahl-e-bait(A.S) Hazrat BOHLOL ka guzar wahan se hua. Abu Hanifa keh rahay thay k mujhe IMAM JAFFAR SADIQ(A.S) se 3 baaton mein ikhtilaaf hai.

1. Imam Jaffar Sadiq kehtay hein k iblees naar-e-jahannum mein daala jaye ga, laikin mein is baat se ittifaaq nahin karta, kyun-k Iblees ki khalqat AAG se hui, bhala aag ko aag kia jalaye gi!

2. Imam Jaffar Sadiq kehtay hein k KHUDA ka deedaar mahaal hai, lakin mein ikhtilaaf karta hun kyun-k Khuda maujood hai, aur har Sahib-e-wujood qabil-e-deedaar hai.

3. Imam Jaffar Sadiq kehtay hein k Insaan apnay kaamon mein khud-mukhtaar hai, jub k mein kehta hun k tamam kaam Min-Janib ALLAH hain, Insaan ko apnay fail per koi ikhtiyar nahin.

Hazrat BEHLOL:
-------------------

Behlol ne teenon masaail ko ghaur se suna, aur matti ka aik dhela Abu Hanifa ko maara aur bhaag niklay. Abu Hanifa ki peshaani per chot ayi aur wo apnay shaagirdon k saath Behlol k peechay bhaagay aur pakar kar khalifa k darbaar mein pohanch gaye.

Behlol : Mujhe pakar kar kyun laye ho mein ne tumhara kia bigaara hai?

Abu Hanifa: Is ne mujhe Matti ka dhela maara hai aur meid shadeed dard mehsoos kar raha hun.

Behlol: Agar tu sacha hai tou mujhe apna dard dikha!

Abu Hanifa: Nadaan! dard bhi koi dekhne ki cheez hai! dard tou bus hai, mein dikha nahin sakta.

Behlol: Lakin kuch der pehle tou tum keh rahay thay k Jub Khuda maujood hai tou dikhayi bhi de ga kyun-k har sahib-e-wujood qabil-e-deedaar hota hai.

AKHIR TUM APNA DARD MUJHE KYUN NAHIN DIKAHATAY!?

Behlol(Khalifa se) : App is se puchain mein ne isay kia maara hai?

Abu Hanifa: Janab is ne mujhe matti ka dhela maara hai jis se mujhe bauhat aziat pohnchi hai.

Behlol: Abu Hanifa! ye matti kaisay tumhein koi aziat pohncha sakti hai? Tum tou khud matti se banay ho. abhi tum keh rahay thay k Iblees jo khud Aag se paida hua ko jahannum ki aag kaisay jalaye gi!

Behlol(Khalifa se) : janab mein bilkul be-gunah hun aur ye mujhe na-haq saza dilwana chahtay hein.

Abu Hanifa: Tum ne mujhe matti ka dhela maara, tum kaisay be-gunah qarar paa saktay ho!?

Behlol: lakin kuch der pehlay tou tum apne shaagirdon se keh rahay thay k jo kuch bhi is jahan mein ho raha hai khuda ki taraf se ho raha hai, lehaza tumhein maarnay wala mein nahin bul-k KHUDA hai.
__________________________________________________ ______________
ye sun kar Abu Hanifa samajh gaye k Behlol k aik dhelay ne un k teenon nazriaat ko baatil kar dia hai. Haroon Rasheed bhi BEHLOL "DAANA" ka baatain sun kar muskuraya.




Members I need the authenticity of this event.
__________________
Left is Right
Reply With Quote