Thread: Faiz Ahmed Faiz
View Single Post
  #12  
Old Wednesday, January 17, 2007
Mazher's Avatar
Mazher Mazher is offline
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

Wo log bohat khushqismat thay
jo ishq ko kaam samajtay thay
ya kaam say aashqi kartay thay

Ham jeetay g masroof rahay
kuchh ishq kia kuchh kaam kia
kaam ishq k aaday aata raha
kaam say ishq ulajta raha

Bil-aakhir tung aa kar hum nay
dono ko udoora chhor dia


mujh say pehli mohabbat meray mehboob na maang.....

Dasht-e-tanhai mein aey jaan-e-jahan larzaan hein
teri aawaz k saey, teray honto k saraab

dasht-e-tanhai mein duri k khas-o-khak talay
khhil rahay hein teray pehloo k saman aur gulab


uthh rahi hay kahin qurbat say teri saance ki aanch
apni khushboo say sulagti hui madham madham

doooooooor ufaq paar chamakti hui qatra qatra
gir rahi hay teri dildar nazar ki shabnam


iss qadar piar say aey jaan-e-jahan rakhha hay
dil k rukhsar pay iss waqt teri yaad nay haathh

yun guman hota hay gar-cheh hay abhi waqt-e-firaq
dhal gaya hijr ka din, aa b gai wasl ki raat


Tujh say b dil-fareb hein gham roz-gar k


dono jahan teri mohabbat mein haar k
wo ja raha hay koi shab-e-gham guzaar k




weeran hay may-kada, khum-o-saghar udaas hein
tum kia gaeyk roothh gaey din bahaar k




ik fursat-e-gunaah mili wo b chaar din
dekhay hein ham nay hoslay parwardigaar k




dunia nay teri yaad say begaana kar dia
tujh say b dil-fareb hein gham rozgaar k





Fiza-e-dil pay udasi bikharti jati hay
fasur-dagi hay k jahan tak utarti jati hay





fareb-e-zeest say Qudrat ka mudda-aa maloom
yeh hosh hay k jawani guzarti jati hay





Gulo mein rang bharay, baad-e-no bahaar chalay
chalay b aao k gulshan ka karobaar chalay




qafas udaas hay yaaro, saba say kuchh to kaho
kahin to behr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chalay





kabhi to subh teray kunj lab say ho aazad
kabhi to shab sar-e-kakul say mushkbaar chalay





jo ham pay guzri so guzri.... shab-e-hijraan
hamaray ashk teri aaqbat sanwaar chalay





muqaam Faiz koi raah mein jacha he nahi
jo koo-e-yaar say niklay to soo-e-daar chalay


Last edited by Andrew Dufresne; Sunday, January 02, 2011 at 04:23 PM.
Reply With Quote