Thread: Urdu Paper 2011
View Single Post
  #5  
Old Monday, March 05, 2012
siddiqui88's Avatar
siddiqui88 siddiqui88 is offline
43rd CTP (OMG)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: CE 2014 - Merit 163
 
Join Date: Aug 2010
Posts: 286
Thanks: 304
Thanked 414 Times in 182 Posts
siddiqui88 is just really nicesiddiqui88 is just really nicesiddiqui88 is just really nicesiddiqui88 is just really nice
Default

Quote:
Originally Posted by Hamidullah Gul View Post
Kia koi Muhtarm rukn Aasan alfaz me aur thori si tafsil ke sath "Dehlviat" pr roshni dal sakta hai? Nawazish hogi......
Urdu Shairi ki 2 bray dabistan(schools) apni mukhtalif aur mutazaad khasosiaat ki bina per shohrat rkhtay hain: Dabistan e Dehli aur Dabistan e Lakhnau.
Dabistan e Dehli ki shairi ki numaaya khasosiaat Saadgi, Sana't e maanvi, Amrad Parusti, Daakhliyat, Rimziyat aur Tasawuf hain. Is Dabistaan k numaayan shoraa Mir Taqi Mir ,Mir Dard, Sodaa, Zauq aur Momin thay. Baad k shoraa me se jo shair in rujhanaat ki akaasi krta hai tou us ka ye rujhaan Dehlviat kehlaata hai. Is k muqaabil "Lakhnaviat" b hai yaani Dabistaan e Lakhnau ki khasosiaat, jis me Kharjiyat, Riayat e Lafzi, Qafiya Pemai, Maamla Bandi aur Nisaaiyat hain. Shoraa me Mashafi, Jura't, Naasikh aur Aatish shamil hain.
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to siddiqui88 For This Useful Post:
Arfan Faheem (Wednesday, January 22, 2014), Hamidullah Gul (Monday, March 05, 2012)