View Single Post
  #170  
Old Thursday, April 12, 2012
Aamish Bhatti's Avatar
Aamish Bhatti Aamish Bhatti is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2012
Location: Atlantis
Posts: 266
Thanks: 609
Thanked 106 Times in 78 Posts
Aamish Bhatti is on a distinguished road
Default

Koi dhundhila sa ek chehra meri aankhon mein rehta hai

Koi bhatka sa ek jugno mere khuwabon mein rehta hai

Ek maa-noos si aawaaz mujhe sone nahi deti

Koi uljha sa ek jumla meri yaadun mein rehta hai

Hai kis k shabnami aanchal ki khushboo ab talak mujh mein

Koi ehsaas mehka sa meri saanso mein rehta hai

Mujhe khud per nahi qaboo na mein kuch bol sakta hun

Asar ye kis k lafzon ka meri baaton mein rehta hai

December ki khanak raaten mujhe be-chen rakhti hain

Lums ek hath ka ab tak meri sochon mein rehta hai

Hai dil bhi muztarib ehsaas bhi sochon ki uljhan bhi

Ye kis ki aankh ka aansoo meri aankhon mein rehta hai

Poet: Wasi Shah
__________________
Khushboo Hai Mere Khoon Mein Kafoor Ki Manind,
Bikhrunga Fizaun Mein Ek Noor Ki Manind . . .
Reply With Quote