View Single Post
  #2  
Old Sunday, February 18, 2007
sErEnE EyE sErEnE EyE is offline
Junior Member
 
Join Date: Sep 2006
Posts: 14
Thanks: 0
Thanked 1 Time in 1 Post
sErEnE EyE is on a distinguished road
Default

bhalay dinoun ki baat hai, bhali si ikshakal thee
na yeah kay husn tamam ho, na dekhnay main am thee
na yea kay woh chalay tu kehkishan si rahguzar lagay,
mager woh sath ho tu phir, bhala bhala safar lagay

na mudutoun juda rahe, na sath sub-o-shaam ho
na rishtaye wafa pay zid, na yea k azl-e-amm ho

koi bhi rut ho uss ki chhab faza ka rang o roop thii
woh gharmiyon ki chhaon thii woh serdion ki dhoop thii

na aisi khush libasiyan kay sadgee gila karay
na iaisi betukalafi kay aina haya karay

na iktalat main woh zum kay badmaza houn khwaishain
na is qadar superdagee kay zich karain nawazishain

na aishque janoun ki kay zindage azab ho
na is qadar khatour pan kay doosti kaharab ho

suna hai ik omer hai mamlaty dil ki bhee
visalay zan fiza tu kis firaqy jangill ki bhee

lo ik roz kia huwa
wafa pay behas chir gae
main ishq ko amar khaoun
woh mere zid say chir gae

main ishq ka aseer tha
woh ish ko qafas kahay
kay omer bhar k sath ko woh
badtaraz hawas kahay

kahaye.........

shajar hijar nahi kay hum
hamesha pama-e-gul rahain
na dhool hain kay rasiyan
galay main mustaqil rahain

main koi painting nahi
kay ik frame main rahoun
wohi jo maan ka meet ho
usi kay prem main rahoun

tumahre souch jo bhe ho main is muzaj ki nahi
mujahe wafa say bair hai yeah baat ajj ki nahi

na us ko mujh pay maan tha
na mujh ko us ko zum hi
jo ahde wafa hi na ho
tu kia ghume shikistagee

so apna apna rasta
hansi khusi badal lia
woh apni rah pay chal pari
main apni rah pay chal dia

bhalay dinoun ki baat hai
bhali si ik shakal thee
ab us ki yaad raat din
nahi.....
mager kabhi kabhi
__________________
SMILING THROUGH TEARZZ
Reply With Quote