nasiib aazamaane ke din aa rahe hain
nasiib aazamaane ke din aa rahe hain
qariib un ke aane ke din aa rahe hain
jo dil se kahaa hai jo dil se sunaa hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain
abhii se dil-o-jaaN sar-e-raah rakh do
ke luTane luTaane ke din aa rahe hain
Tapakane lagii un nigaahoon se mastii
nigaahein churaane ke din aa rahe hain
sabaa phir hamein puuchhatii phir rahii hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain
chalo "Faiz" phir se kahiin dil lagaayeiN
sunaa hai Thikaane ke din aa rahe hain
__________________
ஜ иστнιπg ιš ιмթΘรรιвlε тσ α ωιℓℓιиg нєαят ஜ
|