dil-e-bedar Farooquee, dil-e-bedar Karrari
mas-e-Aadam k haq mein keemia hay dil ki bedari
dil-e-bedar peda kar, k dil khawabeeda hay jab tak
na teri zarb hay kari, na meri zarb hay kari
musham-e-tez say milta hay sehra mein nishan iss ka
zan-o-takhmee-n say haathh aata nahin aahoo-e-ta-ta-ri
iss andeshay say zabt-e-aah karta rahoo-n kab tak?
k mugh zaday na lay jaein teri qismat ki changari
Khudawanda yeh teray sada dil banday kidar jaein?
K Darweshi b ayyari hay Sultani b Ayyari
mujay tehzeeb-e-hazir nay ataa ki hay wo azadi
k zahir mein to azadi hay batin mein gariftari
Tu aey Maula-e-Yasrab (SAW) aap meri chara sazi kar
meri danish hay Afrangi, mera eema-n hay Zannari
Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 03:11 AM.
Reason: Posts merged.
|