Asar karay na karay sun to lay meri fariyad
nahin hay daad ka talib yeh banda-e-azad
yeh musht-e-khak, yeh sur-sur, yeh wus-at-e-iflak
karam hay ya k sitam teri lazzat-e-eejad
qusoor war, ghareeb-ud-diyar hoo-n lekin
tera kharaba firishtay na kar sakay aabad
meri jufa-e-jali ko duaein deta hay
wo dasht-e-saada, wo tera jahan-e-bay-buniad
khatar pasand tabee-at ko sazgar nahin
wo gul-sita-n k jaha-n g-haat mein na ho sayyaad
muqam-e-shoq teray qudsiyo-n k bas ka nahin
unhi ka kaam hay yeh jin k hoslay hein ziyad
Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:37 AM.
Reason: Posts merged.
|