View Single Post
  #161  
Old Monday, August 13, 2012
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Han

Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Han, Shar-he Wash-shamso Zuha Karte Hain
Unki Hum Madd-ho Sana Karte Hain, Jinko Mahmood Kaha Karte Hain


Maahe Shak Gashta Ki Soorat Dekho, Kaap Kar Mehr Ki Raj'at Dekho
Mustafa Pyare Ki Qudrat Dekho, Kaise Ayjaz Hua Karte Hain


Tu Hai Khursheed E Risalat Pyare, Chup Gaye Teri Ziya Me Taare
Ambiya Aur Hai Sab Mah-Paare, Tujhse Hi Noor Liya Karte Hain


Ay Balaa Be Khirdi-E Kuffar Rakhte Hai Aise Ke Haq Se Inkaar
Ki Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaa(n) Bol Utha Karte Hain


Apne Maula Ki Hai Bas Shaan E Azeem, Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta'azeem
Sang Karte Hai Adab Se Tasleem, Ped Sajde Me Gira Karte Hain


Rif'ate Zikr Hai Tera Hissa, Dono A'alam Me Hai Tera Charcha
Murge Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madho Sana Karte Hain


Ungliya Paayi Wo Pyari-Pyari, Jinse Dariya E Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai Jab Gamkhwari, Tishne Sairaab Hua Karte Hain


Haa Yahi Karti Hai Chidiya(n) Fariyaad, Haa Yahi Chahti Hai Hirni Daad
Isi Darr Par Shutrane-Naashaad Gil-E Ranjo Ana Karte Hain


Aasti Rehmat E A'alam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Hain


Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar Khilkhila Padti Hai Kaliya(n) Yaksar
Phool Jaama Se Nikal Kar Baahar Rukhe Rangi Ki Sana Karte Hain


Tu Hai Wo Badshah E Kouno Makaa(n) Ki Malak Haft Falak Ke Har Aa(n)
Tere Maula Se Shahe Arsh Aywa(n) Teri Daulat Ki Dua Karte Hain


Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n) Ma'adane Noor Hai Uska Damaa(n)
Hum Bhi Us Chand Pe Ho Kar Kurbaa(n) Dil E Sangi Ki Jila Karte Hain


Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
Malako Jinno Bashar Huuro Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hain


Toot Padti Hai Balaye Jin Par, Jinko Milta Nahi Koi Yaavar
Har Taraf Se Wo Pur Armaa(n) Fir Kar Unke Daaman Me Chupa Karte Hain


Lab Par Aa Jaata Hai Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hai Shahde Nayab
Wajd Me Ho Ke Hum Ay Ja(n) Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hain


Lab Pe Kis Muh Se Ghum E Ulfat Laye(n) Kya Bala Dil Hai Alam Jiska Sunaye
Hum To Unke Kafe Paa Par Mitt Jaye Unke Darr Par Jo Mita Karte Hain


Apne Dil Ka Hai Unhi Se Aaram Soupe Hai Apne Unhi Ko Sab Kaam
Lou Lagi Hai Ke Ab Us Darr Ke Ghulam Chara-E Dard E Raza Karte Hain
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
mjkhan (Friday, January 25, 2013), Mohammad Ali (Thursday, June 20, 2013), qayym (Thursday, August 16, 2012)