View Single Post
  #170  
Old Sunday, August 19, 2012
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga

Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Usman Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga

Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga

Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga

Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau'n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga

Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga.
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
mjkhan (Friday, January 25, 2013), Waqar Abro (Tuesday, August 21, 2012)