View Single Post
  #177  
Old Thursday, August 23, 2012
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Ser-e-gulshan kohn dekhe dasht-e-Taiba chhor kar
Sooe Jannat kohn jaaye dar tumhara chhor kar

Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera aastana chhor kar

Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chhor kar

Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chhor kar

Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chhor kar

Be likaye Yaar Unko Chain Aa jata Ager,
Baar Baar Aate Na yoon Gibreel Sidra Chhor kar.

Waapsi ka Mashwara De raha hai Paase Adab,
Ishq kehta hai ke Na ja Inka Roza Chhor kar.

Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chhor kar.

__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
mjkhan (Friday, January 25, 2013)