Us ki aadat thi
Milay baghair bicharna bhi us ki aadat thi
Milay to baat na kerna bhi us ki aadat thi
Dilon main phelta jata tha roshini ki tarha
Utartay rooh main rehna bhi us ki aadat thi
Sada-e-dil ko na nok-e-zaban kerna tha
Chupa ke pyar jatana bhi us ki aadat thi
Woh meri dastaras main rahay, na rahay ban kay khalish
Dilon kay taar hilana bhi us ki aadat thi
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
|