View Single Post
  #1  
Old Thursday, May 03, 2007
Last Island's Avatar
Last Island Last Island is offline
Royal Queen of Literature
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: AppreciationModerator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Best ModMember of the Year: Awarded to those community members who have made invaluable contributions to the Community in the particular year - Issue reason: 2008Gold Medal: Awarded to those members with  maximum number of  reputation points. - Issue reason: For the year 2007, 2008, 2009, 2010, 2011Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason: More than 5 years of dedicated services
 
Join Date: May 2005
Location: Forest of Fallen Stars
Posts: 7,585
Thanks: 2,427
Thanked 15,848 Times in 5,006 Posts
Last Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardom
Default Tumhain kis ne kaha


Tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
Ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
Tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
Mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
Mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
Mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
Tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
Poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
Unhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
Ajab pagal si lerki ho
Meri masroofiyat daikhoo
Tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
Tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
Aur iss masroof jeewan main
Tumahray khat ka ikk jumla
“Tumhain main yaad aati hooN ?”
Meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
Bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
So agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
Ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
Mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
Reply With Quote