Kisi ki baat per ab main kabhi heraan nahi hota
Kisi ki baat per ab main kabhi heraan nahi hota
Bohat se dard hain jin ka koi darmaan nahi hota
Ajab is taur say yeh zindagi apni guzarti hai
Kabhi chat hi nahi hoti, kabhi samaan nahi hota
Kiya abaad hum ne dil ko yadon kay jazeeron se
Yeh ik aisa samandar hai keh jo veeran nahi hota
Meri azaad hain sochain hamesha qaid e mantaq se
Yahan woh ho bhi sakta hai keh jo imkan nahi hota
Kai toofaan jab simtain to banta hai phir ik aansu
Wo kya aansu hai jis main koi bhi toofan nahi hota
Milay ga kya tujhay zalim hamain aisay satanay se
Jisay tujh se na ho nisbat, gham e janaan nahi hota
Ajab si kash makash rehti hai apnay aap se humdum
Yahi wohi jung hai jis ka kabhi elaan nahi hota
Usay hum somp detay hain yahan ki mezbaani bhi
Hamaray dil main koi gham kabhi mehmaan nahi hota
Lahu deta hoon main unko hamesha dil ki shiryan se
Meri sochon ko bus is wastay yerqaan nahi hota
Kuch aisi par gai aadat hamain sail e hawadas ki
Keh ab to khauf aata hai keh jab toofan nahi hota
Saba yeh pul saraat aisa kai kamhon ka hasil hai
Kali say phool bannay ka amal aasan nahi hota
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
|