View Single Post
  #1  
Old Tuesday, June 12, 2007
Wounded Healer's Avatar
Wounded Healer Wounded Healer is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default Main khud se apni wafa ka qaedi

Main khud se apni wafa ka qaedi


Main khud se apni wafa ka qaedi

ana parasti ke mausmoon mein

samandaroon ki hawa ka qaedi

kissay bataoon ke kitni zehreeli meri tanhai

kaun janay

na koi dewaar hai

jo mere sawal sun kar

jawab ugllay

na koi darr hai

ke jo kissi shabb

kissi ke anay ka adh adhoora gumaan bakhshe

kisse bataoon ke apni tareek galioon mein

bhatak gaya hoon

kisse bataoon ke thak gaya hoon

main thak gaya hoon to sochta hoon

koi to mujh ko sitara ban ker nishan-e-manzil ki roshni de

koi to meri bhi aarzo'on ka chand tthehre

main jis ki ankhoon pe geet likhoon

main jis ke hontoon ko gunguna'oon

main jis ke hathoon ko choom ker

apni band ankhoon se dair tak yuun lagae rakhoon

keh jaise binai mil rahi ho

magar main dast-e-dua ka qaedi

main lafz lekin sada ka qaedi

ana parasti ke mausmoon mein

samandaron ki hawa ka qaedi
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote