View Single Post
  #3  
Old Monday, June 18, 2007
A Rehman Pal's Avatar
A Rehman Pal A Rehman Pal is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Feb 2007
Location: Karachi
Posts: 163
Thanks: 41
Thanked 41 Times in 22 Posts
A Rehman Pal is on a distinguished road
Default

TUM KAISI MOHABBAT
KERTAY HO?

Main aisi mohabbat kartee hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Tum jahan pe bayth k jate ho
Main waheen pe bethi rehti hoon
Us cheez ko chooti rehti hoon
Main aisi mohabbt karti hoon

Tum jis se huns k milte ho
Main us ko dost banati hoon
Tum jis rustay par chaltay ho
Main us say aati jati hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

Tum jin ko daykhtay rehtay ho
Woh khuwab....sarhanay rakhti hoon
Tum say milnay julnay k
Kitnay hi bahanay rakhti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

Tum jahan bhi bayth k jata ho
Jis cheez ko hath lagatay ho
Main waheen peh baythi rehti hoon
Us jaga ko chooti rehti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

Kuch khuwab saja kar aankhoon main
Palkon say moti chunti hoon
Koi lums agar choo jaa a to
Main pehroon us ko sochti hoon
Main...aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

Jin logon main tum rehtay ho
Tum jin say batain kartay ho
Tum jin say huns k miltay ho
Jo tum ko achay lagtay hoon
Wohi mujh ko achay lagtay hain
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

Jis bagh main subh ko jatay ho
Jis sabzay par tum chaltay ho
Jo shakh tumhain choo jati hay
Jo khushboo...tum ko bhati hay
Woh os tumharay chehray par
Jo qatra qatra girti hai
Woh titli chor k phoolon ko
Jo tum say milnay aati hai
Jo tum ko choonay aati hay
Un sab ke nazuk jazbon main
Meray dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shamil rehti hai

Tum paas raho ya door raho
Nazron main samai rehtay ho
Main tum ko takti rehti hoon
Main tum ko sochti rehti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

Her moqay par her manzar main
Main sath tumharay rehti hoon
Main chashm-e-tasavvur main aksar
Bus tum ko dekhti rehti hoon
Bus tum ko sochti rehti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat
__________________
REBEL
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to A Rehman Pal For This Useful Post:
Rehana kousar (Monday, June 18, 2007)