View Single Post
  #32  
Old Monday, July 09, 2007
Wounded Healer's Avatar
Wounded Healer Wounded Healer is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

awal awal ki dosti hai abhi
aik ghazal hai k ho rahi hai abhi

main bhi shehr-e-wafa mai nowarid
woh bhi ruk ruk k chal rahi hai abhi

main bhi aisa kahan ka zod-o-shanas
woh bhi lagta hai sochti hai abhi

dil ki waruftagi hai apni jaga
phir bhi kuch ehtiyat si hai abhi

gar-chey pehla sa ijtinaab nahi
phir bhi kam kam supurdigi hai abhi

kaisa mausam hai kuch nahi khilta
banda bandi bhi dhoop bhi hai abhi

khud kalami main kab yeh nasha tha
jis tarha roobaru koi hai abhi

qurbatien lakh khubsorat hoon
dooriyon main bhi dilkashi hai abhi

fasl-e-gul main bahar pehla gulab
kis ki zulfon main tankti hai abhi

raat kis mahwish ki chahat main
shabistan sajaa rahi hai abhi

main bhi kisi wadiye khayal main tha
baraf si dil pe gir rahi hai abhi

main to samjha tha bhar chuke sab hi zakhm
daagh shayad koi koi hai abhi

duur daiso se kale kosoon se
koi awaz aa rahi hai abhi

zindagi ku-e-namuradi hai
kis ko murr murr ke dekhti hai abhi

is qadar khich gai hai jaan ke kama
aisa lagta hai totti hai abhi

aisa lagta hai khilwat-e-jaan main
woh jo aik shaks tha wohi hai abhi

muddate ho gai Faraz magar....?
woh jo deewangi thi ke hai abhi
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote