View Single Post
  #20  
Old Monday, July 16, 2007
Tuba Naz Tuba Naz is offline
Junior Member
 
Join Date: Jul 2007
Posts: 1
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Tuba Naz is on a distinguished road
Default

FROM "THORA SA ASMAAN"

= "Zindagi mey humarey sath chalney wala har shaks es leye nahi hota keh hum thokar kha kar gireen or voh hume sambhaal ley hath thaam kar girney sey pehley ya bazoo khench kar girney keh baad..baaz loog zindagi keh es safar mey humarey sath serf yeh dekhney k lea hotey hain keh hum kab kahan or kesey girtey hain..lagney wali thokar humarey gothnoo ko zakhmi karti hai ya hathoo ko khak,humarey chehrey ko ganda karti hai ya kaproo ko..."

= "Us k samney aney wali pastii usey asmaan sey pataal mey ley janey wali thi..Asmaan or pataal k darmiyaan kaheen bhi zameen nahi hoti..Zameen ki zarorat nahi hoti kuyn keh pataal tak pohonchtey pohonchtey peer kut chukey hotey hain..."


FROM "PEER-E-KAMIL (S.A.W)"

"Voh andaza nahi kar pa raha tha keh us raat usey kis cheez sey zada khoof aaya tha..Maut sey,Qabar sey,ya pher Dozaq sey..
Imama ney kaha tha ECSTASY keh baad PAIN hoti hai..Maut PAIN thi..
Us ney kaha tha PAIN keh baad NOTHINGNESS hogi..Qabar NOTHINGNESS thi..
Imama ney kaha tha NOTHINGNESS keh baad HELL aa jae ga..
...Voh wahan tak pohonchna nahi chahta tha.Voh es ECSTASY sey bachna chahta tha ,jo usey PAIN sey HELL ka safar karney per majboor kar deti..."
Reply With Quote