View Single Post
  #2  
Old Saturday, June 22, 2013
AbdulHai AbdulHai is offline
Junior Member
 
Join Date: Jun 2013
Posts: 1
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
AbdulHai is on a distinguished road
Default Full Poem

Aaj youn jauq dar jauq gham thum gaya - is tarah gham zadoun ko qarar aa gaya
Jaisey Khushbu-e-zulf-e-bahaar aa gayee - Jaisey paigham-e-deedar-e-yaar aa gaya

Jis ki deed-o-talab wehm sumjhey thay hum - ru baroo phir sar-e-rehguzaar aa gaya
Subhe-farda ko phir dil tarasnein laga - umre rafta tera eitebaar aa gaya

Rut badalnein lagi rang-e-dil daikhna - range-gulshan se ub haal khulta nehin
Zakhm chalka koi ya koi gul khila - ashk umde ke abr-e-bahaar aa gaya

Khun-e-ushaaq sey jaam bharnein lagey - daag jalnein lagey dil sulagnein lagey
Mehfil-e-dard phir rang par a gayee - phir shab-e-arzoo pur nikhar aa gaya

Sar faroshi ke andaaz badle gayey - dawat-e-qatl par muqtal-e-shehr mein
Dal kar koi gardan mein tauq aa gaya - laad kar koi kandhey pey daar aa gaya

Faiz kiya janeyay, yaar kis aas par - muntazir hein kay layey ga koi khabar
Mea kashoun pey hua muhtasib mehrabaan - dil figaroun pey qatil ko pyar aa gaya
Reply With Quote