View Single Post
  #271  
Old Thursday, August 08, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Post

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Zikar Sarwar main mujhe Khoya Rehne Do
Iss pe Dunya jo khafa Hai Tu Khafa Rehne Do
Ya Muhammad Ka Wazifa Hai Labon Par Har Dam
Dil Ko Bas Yaad-e-Nabi Main Fana Rehne Do

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Dil Main Nabi ki Yaad ne Daira Jama Liya
Saar-e-Gamon se Apke hum ne Bacha Liya
Qurban Jaaon Ya Nabi Tere Maqam par
Tu ne To Pathron ko bhi Kalma Padha Diya
Viraniyan na Aaayen gi ab Akhon main kabhi
Aa ke Dar-e-Rasool ka Surma Laga Liya

Seene main Hai Bahar sa Maila Laga howa
Kiya Usse Tumhare Dar Jisse Mehmaan Bana Liya

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Gulamiye Rasool ka Tuhfa Saja ke Dekh
Nadaan unke Dar pe Sar to Jhuka ke Dekh
Aati hai Taig-e-Josh main Rehmat hazoor ki
To Dastan-e-Gham Zara unko Suna ke Dekh
Qadmon Main Tere Hon Gay Khazan-e- jahan ke
Ek baar Unke Naam pe sab kuch Luta ke Dekh

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka


Dard-o-alam ke maar-e-howe kiya Dete Hain
Hum tu Bas unki Ankhon ko dua Dete Hain
Banda banna hai khuda Ka tu Gada Ban Unka
Jo fakeeron ko Shehenshah Bana dete Hain
Apne Walon ke Naseebon main Kahan Zook-e-Janoon
Ishq Wale Hain Jo Har Cheez Luta Dete Hain

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Jab liya Naam-e-Nabi Main ne Dua Se Pehle
Meri Awaz Wahan Pounchi Saba Se Pehle
Dam-e-Akhir mujhe Aaqa ki Ziyarat ho Gi
Aik Din Aayen Gay Sarkar Kaza se Pehle
Ab main Karta Hon Parh ke Muhammad pe Darood
Yeh Waseela Bhi Zaroori Hai Dua se Pehle

Humne Bhi Iss Dar-e-Aqdas pe Jamayi Nazrain
Jiss Jagha Milta hai Mangton ko Sada se Pehle

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Gulam Hain Gulam Hain Rasool Ke Gulam Hain
Gulamiye Rasool Main Moat Bhi Kabool Hai
Jo Ho na Ishq-e-Mustafa tu Zindgi Fazool Hai
Jo Ho na Ishq-e-Mustafa tu Zindgi Fazool Hai

Mere tu Aphi Sabkuch Hain Rahmat-e-Alam
Main jee Raha hon Zamane Main Aphi Ke Liye

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Har Wakt Tassawur Main Madine ki Gali Hai
Ab Darbadari hai na Gareebul Watani Hai
Woh Sham-e-Haram Jiss se Munawar Hai Madina
Qaabe ki Kasam Ronaq-e-Qaba Bhi Wohi Hai
Iss Shehr Main Bik Jaate Hain Khud Aa Ke Kharidar
Yeh Misar Ka Bazar Nahi Shahar-e-Nabi Hai

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka

Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
Main tu Ashiq Hon Nabi Ka
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote