View Single Post
  #292  
Old Thursday, August 22, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Post

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Lo jhoom ke naam Muhammad ka
Ye naam suhana lagta hai
Is naam se raunaq hoti hai
Purnoor zamana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah


Hai dil ki ziya aankhon ki chamak
Is naam me hai kuch aisi mahak
Imaan ko mu'attar kar jaye
Khusboo ka khazana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah


Jo arsh pe Ahmed kehlaye
Wo zaate Muhammad hai beshak
Mehmood aur Haamid mere nabi
Hasnain ka naana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah


Ye naam waseela bakshish ka
Laraib zariya barkat ka
Wo khulqe azeem Allah Allah
Jo sabse yagana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah


Taha bhi wahi Yaseen bhi wahi
Wo Bashir-o-Nazeer hai salle ala
Barkat ka khazina naam e nabi
Har roz shabana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah


Naato ki sajate hai mehfil
Padhte hai salaamo ke nagme
Jab jab bhi liya hai naame nabi
Kya khoob tarana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah


Kya wasf likhe Rizwan unka
Hai jinka khuda khud madha sara
Kuch husne amal to paas nahi
Bas unka diwana lagta hai


Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Zaheer Qadri (Saturday, March 15, 2014)