Mere bas main agar hota hata kar chand taron ko
Main neele asman par bas teri ankhen bana deta
Shajar hota to likh likh kar tumhara naam patton par
tumhare shehr ki janib hawaon main ura deta
Woh jan e jan qarar e dil agar ik bar mil jata
main khud ko bhi na batlata kahen aisa chupa deta
Zafar chaha hai jis ko kufr ki had tak muhabbat main
Main us but ko nigahon se bhala kaise gira deta
__________________
You are an eagle, flight is your vocation:
You have other skies stretching out before you.
|