Zindagi kia tamana teri - by Syeda Bukhari
Zindagi kia tamana teri, kaisi khahish tujh sy??
Ek aarzo e la-hasil, ek zoaq ba-sahara...
Simti hui hai aise jaise seep k dil main moti
Bikhri hui kuch aise k koi nahi kinara...
Hum hain ajab musafir waqt ki rahguzar k
Reh jaaty hain takte bas hota hai aik ishara...
Azal say hukumran hai WOHI arsh e bareen ka malik
jisko nahi hai chahye koi wajah koi sahara...
WOHI kahliq e qul hai WOHI malik e qul hai
Katputlian hain hum sab aur WOH jahan sara...
__________________
When you really want something, the whole universe conspires in helping you achieve it!!!
|