Na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuch na hota tu Khuda hota
Duboyaa mujhe ko hone ne, na hota main tu kyaa hota
hua jab Gam se yoon behis to Gam kyaa sar ke katane ka
na hotaa gar juda tan se to zaannoon par dharaa hotaa
hui muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
woh har ek baat pe kahana ke yoon hota to kya hota
By Mirza Ghalib