View Single Post
  #2  
Old Tuesday, April 22, 2014
MisbahMalik's Avatar
MisbahMalik MisbahMalik is offline
Senior Member
 
Join Date: Mar 2011
Location: Islamabad
Posts: 215
Thanks: 14
Thanked 110 Times in 82 Posts
MisbahMalik is on a distinguished road
Default

Urdu Paper 2 – CSS 2014
Part-II




Q#2: Shairr ka hawala detay huay tashreeh karain (10+10)

(1)Subh ka tara ubhar ker reh gaya …….. Raat ka jaddu bikharr ker reh gaya
Hasafar sab manziloun sy ja milay ……… Mai nae rahoun main mar ker reh gaya
Kia kahun ab tujh sy ay juay kam-aab …….. Mai bhi darya tha utar ker reh gaya
OR
Majeed Amjad ki nazam “touseeh shehar” ka fanni aur fikrri jaizza paish karain


(2) Husn ghamzay ki kash-a-kash sy chatta meray baad
Baaray, araam sy hain ahlay-jaffa meray baad
Mazhab sheeftaggi ky koi kabil na rahahue moazllee andaaz-o-ada mery baad
Shamma bujhte hai tu es mai sy dhuaan uthta hai
Sholla-e-ishq siyyah poosh hua meray baad
OR
Faiz Ahmad Faiz ki nazam “Asbaab” ka fanni aur fikrri jaizza paish karain


Q#3: Siaaq –o – sabaak ky hawalay sy kisi aik juzz ke tashreeh karain (20)

1) “Jab wo mata-e-khubbi khana ly ker atti tu ta’aam ky saath silsala-e-kalaam bhi shuru ho jata. Kabhi meethi batoun sy shaker rezzi karti, kabhi chatkalay suna ker hadees-e-maeeda mai namkeeni paida kerti. Es terha ghar ka nan-o-namak man-o-salwa sy siwwa maza deta. Mere zindagi kia the? Muhabbat-o-ishq ka achuttta raag, jo musarrat ki pari itminaan ka jhula jhool jhool ker gaa rahi the.”


2) “Ab marhoon he ko dakhiyay. Zindagi mai he aik qatta-e-arazzi apni qabar ky liay baray armanoun sy ragistarri kara liya tha. Goo keh bicharay es ka qabza pooray 12 saal baad ley paey. Naseehatoun aur waseehatoun ka ye alaam tha ky mout sy 10 saal beshhtar aik fehristt apny nawasoun ky hawalay ker dee the, jis mai naam banaam likha tha ky falaan waldd falaan ko mera moun dikhaya jaey (jin hazraat sy zada azardah khatirr thy, un ky naam ky aagay waldiyat nahin likhi the) teesri shaddi ky baad inhain es ka taweel zameemah muratib kerna para, jis mai tamam jawaan parousiyoun ky naam shamil thy”


Q#4: Ghalib ki shairii mai khud-pasandi aur nargasiyat ky anasir ke misalain dy ker wazaahat jarain (20)
OR
Faiz Ahmed Faiz ky haan gham-e-jana sy ly ker gham-e-douraan tak ka afsana raqam-taraaz karain


Q#5: Urdu tan-o-mazah ki rawayat main Mushtaaq Ahmed Yousafika muqam mutaeen karain (20)
OR
Babaey Urdu Moulvi Abdul Haq ki Khaka-Nigarri per jamiya note likhain.

*******
__________________
There is only one success ... to be able to spend your own life in your own way !!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to MisbahMalik For This Useful Post:
Arshia Awan (Sunday, May 18, 2014), Ninety (Wednesday, September 28, 2016)