Kia kahoon apnay chaman say main juda kyun kar hua
Aur aseer-e-halqa-e-daam-e-hawa kyun kar hua
Jaa-e-herat hai bura saray zamanay ka hoon main
Mujh ko khil'at sharaafat ka ata kyun kar hua
Kuch dikhanay dekhnay ka tha taqaza toor per
Kia khabar hai tujh ko aye dil, faisla kyun ker hua
Hai talab bay-mudda'a honay ki bhi aik mudda'a
Murgh-e-dil daam-e-tamanna say raha kyun ker hua
Dekhnay walay yahan bhi dekh letay hain tujhay
Phir yeh wada hashr ka sabr aazma kyun ker hua
Husn-e-kamil hi na ho is bay-hijabi ka sabab
Wo ho tha pardon main pinha, khud numa kyun ker hua
Maut ka nuskha abhi baqi hai aye wird-e-firaq
Chara gar deewana hai, main la-dawa kyun ker dua
Tu nay dekha hai kabhi usay deeda ibrat keh gul
Ho kay peda khak say rangeen qaba kyun ker hua
Pursish-e-aamaal say maqsad tha ruswai meri
Werna zahir tha sabhi kuch, kya hua, kyun ker hua
Meray mitnay ka tamasha dekhnay ki cheez thi
Kya bataon un ka mera saamna kyun ker hua
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
|