mohabbat jin se hoti hai
unhein khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai
yaqeen ke aakhri manzil pe aa kar b
koi khadsha,koi shak,koi andeesha
bohat bechain rakhta hai
mohabbat jin se hoti hai
unhein khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai
kahein ye wisal k lamhe
badal jayein na farqat mein
kabhi ye qarb ke ghariyan
judai mein na dhal jayein
kahein aisa na ho k koi isko badguman karday
kahein aisa na ho k
jisko humne hasil umar e rawan samjha
jhatak kar hath woh bedard sab kuch raigaan karday
kahein aisa na ho
woh mehrban aankhein badal jayein
kahein aisa na ho k
ye garam joshi sard par haye
tapaak e jan se milnay ke rawish
yak bastan ho jaye
aada e dil barana berukhi ka roop dhaaray
or dil ka dard ban jaye
mohabbat jin se hoti hai
unhein khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai
kabhi mehfil mein sab k samnay woh ehtiyatan b
agar nazrein chura jaye tu dil par choot lagti hai
aansu meena barsata hai
kabhi masroofiyat mein,mehviyat mein
phone ke ghanti ka woh notice na lay
or raabtay ka silsila moqoof ho jaye
dharak uthta hai dil
kia janiyea kia hogaya usko
tawajo mein kami q aa gai?
q uski janib ek sannata sa chaa gaya?
jo apna is qadar apna tha
akhir q paraya hai?
mohabbat jinse hoti hai
unhein khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai.