Mujhay kuch aur kehna tha....
Wo kuch sunta tu main kehta
Mujhay kuch aur kehna tha....
Wo pall bhar ko jo ruk jaata,
Mujhay kuch aur kehna tha...
Ghalat fehmi nay baaton ko
Barhha daala yunhi warna...
Kaha kuch tha, wo kuch samjha,
Mujhay kuch aur kehna tha....
Kahan uss nay suni mayri,
Suni bhi un suni kar di...
Usay maaloom tha itna,
Mujhay kuch aur kehna tha....
Ravaa.n tha payaar nas nas main,
Bohat qurbat thi aapas main.....
Usay kuch aur sunna tha,
Mujhay kuch aur kehna tha...
__________________
No signature...
|