View Single Post
  #1  
Old Saturday, January 26, 2008
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default Aay duur nagar k bunjaray

Aay duur nagar k bunjaray kiyon aaj safar ki thani hai,
Yeh barish, keechar, sard hawa aur rah kathun anjani hai.

Aa mehfil chup chup baithee hai aa mehfil ka jee shaad karain,
Woh log k tairay aashiq hain, k roz say tujh ko yaad karain.

Woh thor thikanay dhoond chukay, woh manzil manzil chooh ayay,
Ubb aas lagayay baithay hain kub dustuk ho kub tu ayay.

Aay duur nagar k banjaaray gar chor k aisa jana tha,
kiyon chah ki rah dikhani thee, kiyon piyar ka haath barhana tha.

Hai dunya k hangamo main rangeenee bhi ranaaiee bhi,
Hur cheez yahan ki piyaree hai, mehroomi bhi, ruswaiee bhi.

Sub log yahan par qismat kay bai tor thapairay sehtay hain,
Par jeetay hain aur jeenay ki ik aas say chimtay rehtay hain.

Aur tu tau aik khilari tha, kiyon khail hee say mon morr liya,
Kiyon jaan ki baazi haar gia, kiyon umer ka rasta torr liya.

Go janay k mushtaq yahan hum jaisay laakh becharay hon,
Woh log hee rukhsat hotay hain jo log k sub ko piyaray hon.


Hur saal ruton ki gardish say jub bees dacumber aayay gee,
Yeh ashk chama chum barsain gay, yeh aah ghata bun jayay gee.

Tum arsh k aik farishtay thay, bus farsh ki chokhat choom gayay,
Tum tees baras tuk dunya main maasoom rahay maasoom gayay.

Hum yaad ki roshun shamaun say iss jee main ujala rakahin gay,
Aur seenay main aabadi ka saamaan nirala rakhain gay.

Tum ajnabi ajnabi rahon main jub thuk jao tu ik kaam karo,
Iss dil main aan qayam karo, iss seenay main basraam karo.

Iss jug ki raat andhairee main ik taara tha woh doob gaya,
Aur waaday saath nibhanay k sub bhool bhula kar khoob gaya.

Yeh Insha, Haroon, Zaid Bakr, sheeshon ka maseeha koi naee,
Sub dost humaray achay hai par kaun hai uss sa, koi naee.

Kiyon naazuk naazuk seenon main gham ka torr pahar chalay,
Kiyon jug k khail tamashon ka tum rung aur ruup ujaar chalay.
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post:
Argus (Saturday, January 26, 2008), canadian (Wednesday, June 04, 2014), qayym (Saturday, January 26, 2008), Sureshlasi (Saturday, January 26, 2008)