View Single Post
  #3  
Old Friday, December 30, 2005
zahid khattak's Avatar
zahid khattak zahid khattak is offline
Member
 
Join Date: Dec 2005
Location: Peshawar
Posts: 38
Thanks: 1
Thanked 0 Times in 0 Posts
zahid khattak is on a distinguished road
Default Yeh Nayay Saal Ka Shor Hai Kaisa

YEH NAYAY SAAL KA SHOR HAI KAISA (my contribution to new year)

Yeh nayay saal ka shor hai kaisaa…
Yeh tu lafzoo ka hair phiar hai warna
Kuch bhi tu nahee badlay gaa..
Wahi shaam hogi udaasi ki ….
Jo jaan kho khayay jayaygi…
Wahi raat hogi holnaaki ki…
Jo neend mujh say cheenay gi…
Wahi hoga zard dopaher…
Jahan aarzoo dam toraygi…
Yeh nayay saal ka shor hai kaisa…

Wahi sultan-e-takht hoga…
Wahi ghulam, hum hongay…
Aadmi kay sukh kay ……
wahi purfasoo waday hongay….
Wahi nangay jism hongay……
Wahi bhookay pait hongay…..
Wahi goongay hamaray lab hongay…
Wahi tareek hamaray dil hongay…..
Tu phir….
Kia badalnay wala hai …
Jo itna hungama hai barpaa….
Chup karooo…..
Yeh nayay saal ka shor hai kaisa..
__________________
Aghyar Wayi Chi Da Dozakh Jaba da....
Za Ba Janat Ta Da Pukhtu Sara Zam
Reply With Quote