Thread: Are We Muslims?
View Single Post
  #7  
Old Monday, February 11, 2008
habibrahet habibrahet is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: UTOPIA
Posts: 215
Thanks: 4
Thanked 46 Times in 35 Posts
habibrahet is on a distinguished road
Default

salam mr. Owais

sawal to ap nay he likhay hain, or jaantay hain, mager main sirf chund points per baat karoonga, jo aap nay apny he jawab main likhay hain


1. only ALLAH almighty will decide that who is proper muslim and who isnt


Quran ul Majeed, Allah Talaah nay apny pyary Nabi Sallaho alaih Wassalm per issi liay nazil farmaya, kay woh (Quran) sahi aor ghalat main tameez kar ta hay. aor humain bhee (ummat ko) hukum diya gaya, jab tumhain kisi baat per shak ho to uski tasdeek quran say karo. isi liay Quran majeed ko FURQAAN (FARAQ KARNAY WALA - FARAQ BATANAY WALA) kaha jata hay.

ab shayed aap samjhain kay yeh kaam sirf Nabi Peace be upon him kay liay he thaa. to iska jawab arz karta hoon kay

jab tum kisi ka KUFUR, NAFAQ (etc) dekho to to usay aagaah karo, kay iss say bacho, ager woh nahi bachta, to is baat ko manzar aam per lao, takay, baqi dunya walay usky KUfUR (ya nafaq) say bachain.


jaisa kay ek Mash-hoor Hadith shareef hay kay

(Mafhoom) ager tum kisi ko ghalat kaam kartay dekho,
to usay us buray kaam say roko (ager taaqat rakhtay ho roknay ki)
(ager rok nahi saktay taaqat say) to usay yeh kaam roknay kay liay kaho.
(ager kehnay ki taaqat bhee nahi rakhtay) to usay dil main bura zaroor jano

(3rd one) yeh emaaan ki sab say kamzor halat hay.

to mere bhai hum ko yeh faisla karna he paray ga, kay kon sahi kaam kar raha hay, or kon nahi. or yeh faisla karnay kay liay pehlay humain Quran , Hadith -e-Nabi Sullaho alaih wassalum, or Sunnat-e-Rasool Sullaho alaih wassalum ko sahi terhaan samajhna paray ga. phir hum compeletely faisla kar saktay hain.

ager hum Islam ka sikhaya huwa koi ek tareeqa bhee jantay hain, to us ek kaam per bhee yehi Hadith-e-Rasool Sullaho alaih wassulum sadiq aati hay.

bay shak Allah he faisla farmaey ga, mager, (yeh bhee sochain) ager yeh faisla Allah nay apnay haath main he rakhna hota to Insaan ko zameen per apna khaleefa na banata, phir un main apnay Nabi aor Rasool (peace be upon them) na bhaijta. jo un logon ko sahi or ghalat ka faraq batatay.

yehan main aap say yeh sawal karta hoon,
Allah Talla nay Laakhhon nabi (peace be upon them) zameen per (taqreeban her qom per ek nabi) bhaijay, to woh kiss kaam kay liay bhaijay gaey.

I think isi liay kay woh logon ko deen-e-Haneef ki taraf bulanay kay liay aaey, yani seedha rasta dikhanay aaey, aor issi terhaan, Rasool-e- Akram (Sullaho alaih wassulum) tamaam aalameen (saaray aalum) kay liay nabi ban kar aaey.

or yeh kaam sirf Anbiaah per khatam nahi hogaya.
Rasool-e- Akram (Sullaho alaih wassulum) nay farmaya, meri ummat kay wali, pichli umaton kay nabion ki maanund hain (RUTBAY MAIN NAHI) KYOONKAY pichli ummaton kay sirf nabion per deen ki tableegh karnay ka hukum thaa. mager Islam main Nabi kay baad Sahaba, phir unkay baad Wali, phir unkay baad aam ummati, sab ka faraz hay kay woh, sab ko islam ki teref raghib karen, or islam ki tableegh karen.

conclusion: ager aaj koi islam kay munaafi kaam karta hay, to uska faisla hum ko zaroor karna chahiay, kay woh sahi hay ya ghalat.
__________________
________________________________________________________________________________________________

My GoaL is to be a Failure! If I reach my GoaL, I'll be Successful and if I don't reach my GoaL, I'll still be Successful.
________________________________________________________________________________________________
Habibrahet
Reply With Quote