Thread: 2 Ankhain
View Single Post
  #3  
Old Tuesday, August 11, 2015
FAHEEM ULLAH KHAN MAHSUD FAHEEM ULLAH KHAN MAHSUD is offline
Member
 
Join Date: Aug 2015
Posts: 61
Thanks: 52
Thanked 17 Times in 14 Posts
FAHEEM ULLAH KHAN MAHSUD is on a distinguished road
Thumbs up Ankhain :-)

Quote:
Originally Posted by innocenteyes8 View Post

میں نے اس کو اتنا دیکھا
جتنا دیکھا جا سکتا تھا
لیکن پھر بھی دو آنکھوں سے
کتنا دیکھا جا سکتا تھا۔۔۔۔
Gulaab Aankhen Sharab Ankhen,
Yehi To Hein La-jawab Aankhen,

Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat
Sawab Aankhen , Azab Aankhen.

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi
Kbhi Sarapa Hijab Aankhen.

Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K
Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen.

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi
Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen.

Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay
Hazoor Aankhen Janab Aankhen.

Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam
Sawal Koi Jawab Aankhen.

Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen
Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen.

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen
Giren To Kr Dain kamal ankhen.

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain
Karen To kuch Ye kheyal Ankhen

Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro
Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraz Palken Ghazal Ankhen
Musawri ka Kamal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram kardi
Magr Rakhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal HueHen
Khuda k Banday Sambhal Ankhen...
Reply With Quote