Urdu Poetry
Kia khoob kaha hai kisi ney,
Bakhsh deta hai Ghuda unn ko jinn ki kismet kharab hoti hai
Who hargiz nahi bakhshey jaty hain jinn ki neyat kharab hoti hai,
Na mera aik hoga na tera lakh hoga
Na tareef teri hogi na mazaq mera hoga,
Garoor na kar shah-e-shareer par
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga,
Zindagi bhar branded branded karney walo Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota
Koi ro kar dil behlata hai our koi hans kar dard chupata hai,
Kia karamaat hain qudrat ki
Zinda insan pani main doob jata hai our murda tahar kar dikhata hai,
Moot ko dekha tou nahi per shayed who bohat khoobsurat hogi
Kambakht joo bhi us sey milta hai jeena chor deta hai,
Ghazab ki eekta dakhi hai logon ki zamaney main
Zindon ko giraney main our murdon ko uthaney main,
Zindagi main na janey konsi baat aakhri hogi na janey konsi raat aakhri hogi
Miltey jultey batein karty raho ek dusrey se doston na janey konsi mulaqat akhri hogi….
|