View Single Post
  #1  
Old Wednesday, July 06, 2005
Argus's Avatar
Argus Argus is offline
Administrator
 
Join Date: Mar 2000
Location: Islamabad
Posts: 702
Thanks: 351
Thanked 2,445 Times in 282 Posts
Argus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to behold
Default Ghazal(For those who love Poetry)

Achhaa lagaa

bhiiD mein ik ajanabii kaa saamanaa achhaa lagaa
sab se chup kar vo kisii kaa dekhanaa achhaa lagaa

surmaii aaNkhon ke niiche phuul se khilane lage
kahate kahate kuchh kisii kaa sochanaa achchhaa lagaa

baat to kuchh bhii nahiin thii lekin us kaa ek dam
haath ko honThon pe rakh kar rokanaa achhaa lagaa

chaay mein chiinii milaanaa us ghaDii bhaayaa bahut
zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa achchhaa lagaa

dil mein kitane ahad baaNdhe the bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade toDanaa achchhaa lagaa

beiraadaa lams kii vo san-sanii pyaarii lagii
kam tavajjo aaNkh kaa vo dekhanaa achchhaa lagaa

niim shab kii Khaamushii men bhiigatii saDakon pe kal
terii yaadon ke jaalo mein ghuumanaa achchhaa lagaa

us uduu-e-jaaN ko 'Amjad' main buraa kaise kahuuN
jab bhii aayaa saamane vo bevafaa achchhaa lagaa
Reply With Quote