Thread: Urdu Poetry
View Single Post
  #2  
Old Thursday, March 10, 2016
sidrahhh's Avatar
sidrahhh sidrahhh is offline
Senior Member
 
Join Date: Sep 2015
Location: Pakistan
Posts: 205
Thanks: 69
Thanked 193 Times in 100 Posts
sidrahhh is on a distinguished road
Default

~"Beth jati hon mitti pey aksar,
Kyun kay mujhay apni auqat achi lagti hai.

~"Main nay samander say seekha ha jeena ka saliqa,
Chup chap sey bahna aur apni mauj may rahna.

~"Asa nahi kay mujh main koi aeb nahi hai,
Per sach kahon mujh main koi faraib nahi.

~"Jal jatay hain merey andaz sey mere dushman,
Kyun kay muddet say main nay na muhabbat badli aur na dost badly.

~"Ek ghari khareed kar hath par kia bandhi,
Waqt peechay hy par gaya hai.

~"Sochtain hain, ghar bana kar rahain gay sakun say,
Par ghar ki zarurton nay musafir bana dala.

~"Sakun ki bat mat kar ae Ghalib,
Bachpan wala itwar ab nahi ata.

~"Shouq tou maa baap kay paison say puray hotay hain,
Apnay paison say tou bas zarurtain hy puri hoti hain.

~"Zindagi ki bhag daur main kyun waqt kay sath rangat kho jati hai,
Hansti khelti zindagi bhi aam ho jati hai.

~"Ek sawera tha jab hans kay uthtay thay hum,
Aur aaj kai bar, bina muskurae hy shaam ho jati hai.

~"Kitnay durr nikal gaye rishton ko nibhatay nibhatay,
Khud ko kho diya hum nay apnon ko paatay paatay.

~"Log kahtay hain, hum muskuratay bohat hain,
Aur hum thak gaye dard ko chupatay chupatay.

~"Sab ko khush rakhnay ki koshish karti hon,
Laa’parwah hain, phir bhi sab ki parwah karti hon.

~"Maloom hai, koi mol nahi mera,
Phir bhi Kuch anmol logon say rishtay rakhti hon.

~"Beth jati hon mitti pey aksar,
Kyun kay mujhey apni auqat achi lagti hai."
__________________
:)
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to sidrahhh For This Useful Post:
mustansar~hussain (Thursday, March 10, 2016), Roshnii (Friday, March 11, 2016), Taurussh (Monday, March 20, 2017), ursula (Thursday, March 10, 2016)