Masjid tou bana di shab bhar main, Iman ki hararat walon nay
Mann apna purana papi hai, barson main Namazi ban na saka
Kya khoob ameer-e-faisal ko sanawasi nay paigham diya
Tu naam-o-nasab ka Hijazi hai, per dil ka Hijazi ban na saka
Iqbal bara updeshak hai, mann baton main mo leta hai
Guftar ka ye ghazi tou bana, kirdar ka ghazi ban na saka
|