View Single Post
  #1375  
Old Tuesday, May 03, 2016
Mohammad Ali Mohammad Ali is offline
Senior Member
 
Join Date: Jul 2012
Location: Karachi
Posts: 571
Thanks: 113
Thanked 233 Times in 166 Posts
Mohammad Ali is on a distinguished road
Default

Masla tu yeh hai kay kahen tu kya kahen! Karen tu kya karen... Meray bhaiyon, bahut bura lagayga magar tum log khud zimmedaar ho apnay zawaal kay. Hoshiyaari dusri jagahon pay tu kartey ho, magar apnay muamlay mein hee bewakoof ho. Meray posts dekho jaakar, mai tum logon ko kehta raha kay mutahhid hojao, aik awaaz bano, sab united hojao iis bayrozgaari kay khilaaf, koi protest karo massive scale pay aur hato mat, dattay raho... Magar yahan sab khamosh tamashae hain, apna matlab hoga tu sab aik dam ayengay aur posts karnay lagengay, laken yakjah nahi hongay. Aaj CSS kay liye kyun hain sab itnay utawallay, kyunkay bayrozgaari hai na, aik saal barh jaye sab taras rahay hain, mai khud bhi, laken humnay jurh ko kabhi na jana, iis bemaari ki jarh hum khud hain. Namaz ki taraf kya humnay keeya rukh? Durood Sharif ka wird apni adat banai humnay? Apnay maan baap ko raazi keeya humnay? Apnay future kay liye halaal rizq ki talaash ki humnay, raat din bhet kar kamanay kay tareekay soochay humnay? Aik baat humesha yaad rakhna meri, rizq sirf CSS mein nahi hai, laakhon gunnah acha kisi sarkaari naukri say, meray nazdeeq, apna izzat wala karobaar hai jo kay jaiz aur halaal amadani pay guzarta ho aur sood say paak ho. Mai cheekh cheekh kay aaj bhi keh raha hoon kay English Essay kay paper mein proper checking nahi hui, laken bashamool woh log jo iis cheez ka shikar huay, kya kisi nay awaaz uthai iis maslay pay? Agar nahi uthaogay tu meray bhai jo CSS ki abhi khushiyaan mana rahey hain kal yehi roo rahey hongay kay Essay mein hum fail hogaye jab kay humney tu aisa likha tha, waisa likha tha, aur papers mein humarey itnay achay marks laken essay mai utnay hee kam. Aap sab jaago aur kisi issue pay humesha united hona seekho, meray Pakistani bhaiyon. Infradi faida nahi, ijtimai faida dekho, kyunkay ijtimai faiday say hee infradi faida mumkin ho sakayga, meray "hoshiyaar" bhaiyon.